Thursday, August 29, 2019

MY POEM ON 15 AUGUST 2019

Abhinandan


Aaj desh ki aajadi ka,
 Ao karen sab abhinandan.
Dushman desh ko dhool chatakar,
Wapas lauta Abhinandan.

Lakhon veeron ne kurban,
Kiye hain apne tan man dhan,
Kar len unko hum sab milkar,
Aaj pranam aur vandan.

Desh ki khatir jaan lagane ka,
Sankalp karen jan- jan,
Pahle manaye Ajadi,
Aur fir jakar Rakshabandhan.



-      Alok pathak